Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhukna paDta hai wo ghusse se jo tan jate hain

Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi

jhukna paDta hai wo ghusse se jo tan jate hain

Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi

MORE BYMirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi

    jhuknā paḌtā hai vo ġhusse se jo tan jaate haiñ

    aap ham rūThte haiñ aap man jaate haiñ

    hoñ ḳhushāmad jo bāteñ to vo man jaate haiñ

    kaam bigḌe hue bātoñ meñ ban jaate haiñ

    ḳhuub nibhtī hai ki jab kuchh na rahe baat paas

    jis tarah tab.a ho ham vaise ban jaate haiñ

    merī hamdardī hai bulbul ko bachānā yā-rab

    dām-e-sayyād liye sū-e-chaman jaate haiñ

    tum raho ġhairoñ meñ ab sharm rakho na rakho

    ham is bazm se ai ahd-shikan jaate haiñ

    the abhī to vo yahāñ kahte haiñ aur DhūñDhte haiñ

    ḳhvāb ham dekh ke dīvāne se ban jaate haiñ

    is tarah phirtī haiñ nazreñ tirī ham se be-dīd

    chaukḌī bharte hue jaise hiran jaate haiñ

    un se matlab nikal aate haiñ sab āsānī se

    ḳhuub laḌ-bhiḌ ke jo aapas meñ vo chhan jaate haiñ

    ham gaḌe jaate haiñ kyā kyā na hayā se dil meñ

    dene jab ġhair ko vo gor-o-kafan jaate haiñ

    kyoñ kisī aur ġhussa vo utāreñ ham par

    biich meñ bol ke ham muft meñ san jaate haiñ

    jab bahār aa.ī vahī dasht vahī tum 'sābir'

    aap dīvāne haiñ jo sū-e-vatan jaate haiñ

    jhukna paDta hai wo ghusse se jo tan jate hain

    aap hum ruThte hain aap hi man jate hain

    hon KHushamad ki jo baaten to wo man jate hain

    kaam bigDe hue baaton hi mein ban jate hain

    KHub nibhti hai ki jab kuchh na rahe baat ka pas

    jis tarah taba ho hum waise hi ban jate hain

    meri hamdardi hai bulbul ko bachana ya-rab

    dam-e-sayyaad liye su-e-chaman jate hain

    tum raho ghairon mein ab sharm rakho ya na rakho

    hum hi is bazm se ai ahd-shikan jate hain

    the abhi to wo yahan kahte hain aur DhunDhte hain

    KHwab hum dekh ke diwane se ban jate hain

    is tarah phirti hain nazren teri hum se be-did

    chaukDi bharte hue jaise hiran jate hain

    un se matlab nikal aate hain sab aasani se

    KHub laD-bhiD ke jo aapas mein wo chhan jate hain

    hum gaDe jate hain kya kya na haya se dil mein

    dene jab ghair ko wo gor-o-kafan jate hain

    kyon kisi aur ka ghussa wo utaren hum par

    bich mein bol ke hum muft mein san jate hain

    jab bahaar aai wahi dasht wahi tum 'sabir'

    aap diwane hain jo su-e-watan jate hain

    Source:

    Riyaz-e-Sabir (Pg. 176)

    • Author: Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
      • Publisher: Matba Akhbar-e-Asafi, Hyderabad
      • Year of Publication: 1887
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now