jhuT ka samman karwaya gaya
jhuuT kā sammān karvāyā gayā
satya ko suulī pe chaḌhvāyā gayā
merī ḳhātir jaam jo laayā gayā
us meñ merā hī lahū paayā gayā
us kā jis ne baat kī adhikār kī
bāġhiyoñ meñ naam likhvāyā gayā
jis ke hoñToñ par vafā ke giit the
us ke pahlū meñ chhurā paayā gayā
jis ke muñh kī baat kal qānūn thī
aaj kārāgār pahuñchāyā gayā
ik udāsī sī vahīñ par chhā ga.ī
ham ġharīboñ kā jahāñ saayā gayā
jhuT ka samman karwaya gaya
satya ko suli pe chaDhwaya gaya
meri KHatir jam jo laya gaya
us mein mera hi lahu paya gaya
us ka jis ne baat ki adhikar ki
baghiyon mein nam likhwaya gaya
jis ke honTon par wafa ke git the
us ke pahlu mein chhura paya gaya
jis ke munh ki baat kal qanun thi
aaj karagar pahunchaya gaya
ek udasi si wahin par chha gai
hum gharibon ka jahan saya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.