jidhar bhi jae udhar qatl-e-am karti hai

jidhar bhi jae udhar qatl-e-am karti hai
Munawwar Tabish Sambhali
MORE BYMunawwar Tabish Sambhali
jidhar bhī jaa.e udhar qatl-e-'ām kartī hai
ġhazal ġhazal hai qayāmat kā kaam kartī hai
nazar ke milte hī un kī nazar kā jhuk jaanā
ye baat rāz-e-mohabbat ko 'aam kartī hai
koī ġharīb kā pursān-e-hāl tak bhī nahīñ
amīr-e-shahr ko duniyā salām kartī hai
kisī se bole na bole magar tirī tasvīr
maiñ jab bhī chāhūñ to mujh se kalām kartī hai
kisī kī yaad sukūñ-baḳhsh hai magar 'tābish'
kabhī kabhī mirā jiinā harām kartī hai
jidhar bhi jae udhar qatl-e-'am karti hai
ghazal ghazal hai qayamat ka kaam karti hai
nazar ke milte hi un ki nazar ka jhuk jaana
ye baat raaz-e-mohabbat ko 'am karti hai
koi gharib ka pursan-e-haal tak bhi nahin
amir-e-shahr ko duniya salam karti hai
kisi se bole na bole magar teri taswir
main jab bhi chahun to mujh se kalam karti hai
kisi ki yaad sukun-baKHsh hai magar 'tabish'
kabhi kabhi mera jina haram karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.