jidhar se wo guzarta hai udhar se
jidhar se vo guzartā hai udhar se
nazar haTtī nahīñ hai rahguzar se
vo aisā ġham mujhe de kar gayā hai
nahīñ bachtā koī jis ke asar se
nazar se ho gayā vo shaḳhs ojhal
nikal aa.ī thī jis ke pīchhe ghar se
taqāze ghar meñ jab aa.e nahīñ the
qadam bāhar nahīñ nikle the ghar se
parindoñ ne mujhe apnā liyā hai
lipaT kar roī thī maiñ ik shajar se
vo jab tak lauT kar vāpas na aa.e
saḌak haTtī nahīñ merī nazar se
vo ḳhud aayā thā merī dastaras meñ
use paayā nahīñ khone ke Dar se
jidhar se wo guzarta hai udhar se
nazar haTti nahin hai rahguzar se
wo aisa gham mujhe de kar gaya hai
nahin bachta koi jis ke asar se
nazar se ho gaya wo shaKHs ojhal
nikal aai thi jis ke pichhe ghar se
taqaze ghar mein jab aae nahin the
qadam bahar nahin nikle the ghar se
parindon ne mujhe apna liya hai
lipaT kar roi thi main ek shajar se
wo jab tak lauT kar wapas na aae
saDak haTti nahin meri nazar se
wo KHud aaya tha meri dastaras mein
use paya nahin khone ke Dar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.