jine ke liye jaan se guzarna bhi to sikho
jiine ke liye jaañ se guzarnā bhī to sīkho
marte hī ho to shauq se marnā bhī to sīkho
hai abrū-e-ḳhamdār-e-hasīna to nazar meñ
gardan kabhī talvār pe dharnā bhī to sīkho
shabnam kī tarah raat ko ro.eñge kahāñ tak
sabze kī tarah sub.h ubharnā bhī to sīkho
mahkoñ kī tarah mauj ke ruḳh par to bahe ḳhuub
ab kaaT ke dhāre ko guzarnā bhī to sīkho
chal sakte nahīñ leT ke phislo sū-e-manzil
daldal se nikalnā hai ubharnā bhī to sīkho
andāz ho kuchh phir bhī tajallī nahīñ mushkil
tum vādī-e-aiman meñ utarnā bhī to sīkho
hai izn to saaqī kā ki bhar sakte ho sāġhar
sīdhā to karo jaam kā bharnā bhī to sīkho
pindār na bedār ho so.e na ḳhudī bhī
phir faqr meñ is rang kā bharnā bhī to sīkho
bigḌe hue hālāt banāne se baneñge
bigḌī huī duniyā meñ sudharnā bhī to sīkho
kyā manzilat-e-husn hai tahsīn-e-zabānī
jis baat meñ ḳhūbī hai vo karnā bhī to sīkho
Thukrā.e zamāna to vo dāman meñ chhupā leñ
sar un ke qadam par kabhī dharnā bhī to sīkho
Dar kyā hai Darā.eñ tumheñ duniyā kī balā.eñ
'ārif' magar allāh se Darnā bhī to sīkho
jine ke liye jaan se guzarna bhi to sikho
marte hi ho to shauq se marna bhi to sikho
hai abru-e-KHamdar-e-hasina to nazar mein
gardan kabhi talwar pe dharna bhi to sikho
shabnam ki tarah raat ko roenge kahan tak
sabze ki tarah subh ubharna bhi to sikho
mahkon ki tarah mauj ke ruKH par to bahe KHub
ab kaT ke dhaare ko guzarna bhi to sikho
chal sakte nahin leT ke phislo su-e-manzil
daldal se nikalna hai ubharna bhi to sikho
andaz ho kuchh phir bhi tajalli nahin mushkil
tum wadi-e-aiman mein utarna bhi to sikho
hai izn to saqi ka ki bhar sakte ho saghar
sidha to karo jam ka bharna bhi to sikho
pindar na bedar ho soe na KHudi bhi
phir faqr mein is rang ka bharna bhi to sikho
bigDe hue haalat banane se banenge
bigDi hui duniya mein sudharna bhi to sikho
kya manzilat-e-husn hai tahsin-e-zabani
jis baat mein KHubi hai wo karna bhi to sikho
Thukrae zamana to wo daman mein chhupa len
sar un ke qadam par kabhi dharna bhi to sikho
Dar kya hai Daraen tumhein duniya ki balaen
'arif' magar allah se Darna bhi to sikho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.