Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jit baKHshe jo charaghon ko hawa zindabaad

Kazim Husain Kazim

jit baKHshe jo charaghon ko hawa zindabaad

Kazim Husain Kazim

MORE BYKazim Husain Kazim

    jiit baḳhshe jo charāġhoñ ko havā zindabād

    us pe qurbān charāġhoñ ziyā zindabād

    maiñ ne dushman ko mahārat pe koī daad na

    mere andar se koī bol paḌā zindabād

    us mohabbat ke payambar se taqābul kaisā

    dasht sau baar jise kahtā rahā zindabād

    ghar mālik to mire zabt pe ta.ana-zan thā

    ghar dīvār ne par mujh se kahā zindabād

    jo tire jism ke aurāq paḌhā kartī hai

    rashk-e-ḳhushbū hai vo be-misl qabā zindabād

    bazm-e-yārāñ meñ mire fan pe hai uñglī uTThī

    phir mirī fikr pe bohtān lagā zindabād

    mar gayā bhuuk se par bhiik luqma na liyā

    marne vaale tire kirdār-o-anā zindabād

    faisla merā shu.ūrī to nahīñ ho saktā

    jis ko thī maat huī us ko likhā zindabād

    kar le manzūr sanā-ḳhvānī-e-'kāzim' ko husain

    bhī zinda hai tirī karb-o-balā zindabād

    jit baKHshe jo charaghon ko hawa zindabaad

    us pe qurban charaghon ki ziya zindabaad

    main ne dushman ko mahaarat pe koi dad na di

    mere andar se koi bol paDa zindabaad

    us mohabbat ke payambar se taqabul kaisa

    dasht sau bar jise kahta raha zindabaad

    ghar ka malik to mere zabt pe tana-zan tha

    ghar ki diwar ne par mujh se kaha zindabaad

    jo tere jism ke auraq paDha karti hai

    rashk-e-KHushbu hai wo be-misl qaba zindabaad

    bazm-e-yaran mein mere fan pe hai ungli uTThi

    phir meri fikr pe bohtan laga zindabaad

    mar gaya bhuk se par bhik ka luqma na liya

    marne wale tere kirdar-o-ana zindabaad

    faisla mera shuuri to nahin ho sakta

    jis ko thi mat hui us ko likha zindabaad

    kar le manzur sana-KHwani-e-'kazim' ko husain

    tu bhi zinda hai teri karb-o-bala zindabaad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now