jin se raushan thin fazaen kabhi viranon ki
jin se raushan thiiñ fazā.eñ kabhī vīrānoñ kī
yaad aatī hai unhī chāk-garebānoñ kī
jab kabhī kā'be kī tā'mīr kā vaqt aatā hai
pahle buniyād uThā kartī hai but-ḳhānoñ kī
shukriya mere safīne ko Dubone vaalo
mujh ko minnat na uThānī paḌī tūfānoñ kī
raushnī ho ki na ho sham' jale yā na jale
shab to kaTtī hai bahar-hāl siyah-ḳhānoñ kī
mai-kada ḳhatre meñ hai teġh uThā ai saaqī
aaj rindoñ ko zarūrat nahīñ paimānoñ kī
kyoñ Darātī hai hameñ mauj-e-balā rah-rah kar
shorisheñ ham ne bahut dekhī haiñ tūfānoñ kī
iḳhtilāfāt asīroñ meñ abhī tak haiñ 'aqīl'
ye siyāsat na ho zindāñ ke nigahbānoñ kī
jin se raushan thin fazaen kabhi viranon ki
yaad aati hai unhi chaak-garebanon ki
jab kabhi ka'be ki ta'mir ka waqt aata hai
pahle buniyaad uTha karti hai but-KHanon ki
shukriya mere safine ko Dubone walo
mujh ko minnat na uThani paDi tufanon ki
raushni ho ki na ho sham' jale ya na jale
shab to kaTti hai bahar-haal siyah-KHanon ki
mai-kada KHatre mein hai tegh uTha ai saqi
aaj rindon ko zarurat nahin paimanon ki
kyon Daraati hai hamein mauj-e-bala rah-rah kar
shorishen hum ne bahut dekhi hain tufanon ki
iKHtilafat asiron mein abhi tak hain 'aqil'
ye siyasat na ho zindan ke nigahbanon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.