jinhen hum yaad kar ke ro rahe hain
jinheñ ham yaad kar ke ro rahe haiñ
unhīñ murdoñ kā virsa Dho rahe haiñ
vo khīñche jā rahā hai apnī jānib
ham apnī had se bāhar ho rahe haiñ
hameñ qistoñ meñ marnā paḌ rahā hai
vo qistoñ meñ parā.e ho rahe haiñ
matā'-e-zindagī kī piiTh par ham
tumhārī be-ruḳhī bhī Dho rahe haiñ
baḌā ulTā zamāna aa gayā hai
mohabbat karne vaale so rahe haiñ
ḳhudā kā shukr hai ġham par hamāre
jo ḳhush hote the vo bhī ro rahe haiñ
ham apne sahn ke gamloñ meñ ab tak
tumhārī muskurāhaT bo rahe haiñ
jinhen hum yaad kar ke ro rahe hain
unhin murdon ka wirsa Dho rahe hain
wo khinche ja raha hai apni jaanib
hum apni had se bahar ho rahe hain
hamein qiston mein marna paD raha hai
wo qiston mein parae ho rahe hain
mata'-e-zindagi ki piTh par hum
tumhaari be-ruKHi bhi Dho rahe hain
baDa ulTa zamana aa gaya hai
mohabbat karne wale so rahe hain
KHuda ka shukr hai gham par hamare
jo KHush hote the wo bhi ro rahe hain
hum apne sahn ke gamlon mein ab tak
tumhaari muskurahaT bo rahe hain
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 75)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.