jis dam se guftugu ki shuruat humne ki
jis dam se guftugū kī shurū'āt ham ne kī
kab us ghaḌī se apnī koī baat ham ne kī
ham chaah kar bhī koī kamī kar nahīñ sake
ehsās-e-kamtarī meñ bhī bohtāt ham ne kī
ronā nahīñ thā aaj magar ḳhuub ro.e ham
karnī nahīñ thī baat magar baat ham ne kī
afsos bas yahī hai ki aa.ī na kuchh bhī kaam
koshish junūn kī ye jo din-rāt ham ne kī
ik aur din udāsiyoñ ke naam kar diyā
afsurdagī kī nazr phir ik raat ham ne kī
ham aap muttafiq na kabhī jis se ho sake
kyā ittifāq hai ki vahī baat ham ne kī
jis dam se guftugu ki shuru'at hum ne ki
kab us ghaDi se apni koi baat hum ne ki
hum chah kar bhi koi kami kar nahin sake
ehsas-e-kamtari mein bhi bohtat hum ne ki
rona nahin tha aaj magar KHub roe hum
karni nahin thi baat magar baat hum ne ki
afsos bas yahi hai ki aai na kuchh bhi kaam
koshish junun ki ye jo din-raat hum ne ki
ek aur din udasiyon ke nam kar diya
afsurdagi ki nazr phir ek raat hum ne ki
hum aap muttafiq na kabhi jis se ho sake
kya ittifaq hai ki wahi baat hum ne ki
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 40)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.