jis ko chaha tha zindagi ke liye
jis ko chāhā thā zindagī ke liye
vo milā ham ko do ghaḌī ke liye
chāñd ko dekhte to sab haiñ magar
chāñd hotā nahīñ sabhī ke liye
ġham ko ab ġham nahīñ samajhtā hai
itnā tarsā hai dil ḳhushī ke liye
in charāġhoñ meñ raushnī hai bahut
dil jalāo na dil-lagī ke liye
ġham ke dariyā ko paar kar lenā
kitnā mushkil hai aadmī ke liye
maut ke Dar se log zinda haiñ
koī jiitā nahīñ kisī ke liye
jis ko chaha tha zindagi ke liye
wo mila hum ko do ghaDi ke liye
chand ko dekhte to sab hain magar
chand hota nahin sabhi ke liye
gham ko ab gham nahin samajhta hai
itna tarsa hai dil KHushi ke liye
in charaghon mein raushni hai bahut
dil jalao na dil-lagi ke liye
gham ke dariya ko par kar lena
kitna mushkil hai aadmi ke liye
maut ke Dar se log zinda hain
koi jita nahin kisi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.