jis ko dekha tha kabhi husn ke paikar ki tarah

jis ko dekha tha kabhi husn ke paikar ki tarah
Moin Alvi Khairabadi
MORE BYMoin Alvi Khairabadi
jis ko dekhā thā kabhī husn ke paikar kī tarah
ab ḳhayāloñ meñ vahī shaḳhs hai manzar kī tarah
rāh-e-maqtal se zarā ḳhud ko bachā kar niklo
chashm-e-qātil kī ġhazab-nākī hai ḳhanjar kī tarah
us kī maḳhmūr nigāhoñ meñ 'ajab jaadū thā
vo sarāpā thā faqat chāñd ke paikar kī tarah
mere hāthoñ kī lakīroñ meñ tirā naam nahīñ
phir bhī DhūñDā hai tujhe miil ke patthar kī tarah
be-hisī aisī ki ehsās se ḳhālī haiñ sabhī
dil hue jaate haiñ is daur meñ patthar kī tarah
vasl kī koī tamanna hai na furqat kā 'azāb
zindagī ham ne guzārī hai qalandar kī tarah
tah meñ dariyā kī mujhe kuchh bhī na mil paayā 'mu'īn'
ġhote ham ne bhī lagā.e the shanāvar kī tarah
jis ko dekha tha kabhi husn ke paikar ki tarah
ab KHayalon mein wahi shaKHs hai manzar ki tarah
rah-e-maqtal se zara KHud ko bacha kar niklo
chashm-e-qatil ki ghazab-naki hai KHanjar ki tarah
us ki maKHmur nigahon mein 'ajab jadu tha
wo sarapa tha faqat chand ke paikar ki tarah
mere hathon ki lakiron mein tera nam nahin
phir bhi DhunDa hai tujhe mil ke patthar ki tarah
be-hisi aisi ki ehsas se KHali hain sabhi
dil hue jate hain is daur mein patthar ki tarah
wasl ki koi tamanna hai na furqat ka 'azab
zindagi hum ne guzari hai qalandar ki tarah
tah mein dariya ki mujhe kuchh bhi na mil paya 'mu'in'
ghote hum ne bhi lagae the shanawar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.