jis ko dekho wahi paikar mein uljha hua hai
jis ko dekho vahī paikār meñ uljhā huā hai
har garebān kisī taar meñ uljhā huā hai
dasht bechain hai vahshat kī pazīrā.ī ko
dil-e-vahshī dar-o-dīvār meñ uljhā huā hai
jañg dastak liye aa pahuñchī hai darvāze tak
shāhzāda lab-o-ruḳhsār meñ uljhā huā hai
ik hikāyat lab-e-iz.hār pe hai soḳhta-jāñ
ek qissa abhī kirdār meñ uljhā huā hai
sar kī qīmat mujhe ma.alūm nahīñ hai lekin
āsmāñ tak mirī dastār meñ uljhā huā hai
aa.iye biich kī dīvār girā dete haiñ
kab se ik mas.ala be-kār meñ uljhā huā hai
jis ko dekho wahi paikar mein uljha hua hai
har gareban kisi tar mein uljha hua hai
dasht bechain hai wahshat ki pazirai ko
dil-e-wahshi dar-o-diwar mein uljha hua hai
jang dastak liye aa pahunchi hai darwaze tak
shahzada lab-o-ruKHsar mein uljha hua hai
ek hikayat lab-e-izhaar pe hai soKHta-jaan
ek qissa abhi kirdar mein uljha hua hai
sar ki qimat mujhe malum nahin hai lekin
aasman tak meri dastar mein uljha hua hai
aaiye bich ki diwar gira dete hain
kab se ek masala be-kar mein uljha hua hai
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 146)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.