jis ko mile qarib se begana ho gaya
jis ko mile qarīb se begāna ho gayā
ābād thā makān jo vīrāna ho gayā
mastī bharī zamīn hai jhūme hai āsmāñ
har lab yahāñ sharāb kā paimāna ho gayā
merā na ho sakā mujhe is kā nahīñ hai ġham
ye kyā sitam raqīb kā dīvāna ho gayā
dil kī paḌhī namāz garanthoñ ko chhoḌ kar
duniyā samajh rahī hai ki farzāna ho gayā
lo phir chalī nasīm ḳhizāoñ ke din ga.e
mahkī fazā.eñ dil mirā mastāna ho gayā
bāda-kashī meñ 'umr kaTī jis kī dosto
lo ab sunā 'rafīq' bhī maulānā ho gayā
jis ko mile qarib se begana ho gaya
aabaad tha makan jo virana ho gaya
masti bhari zamin hai jhume hai aasman
har lab yahan sharab ka paimana ho gaya
mera na ho saka mujhe is ka nahin hai gham
ye kya sitam raqib ka diwana ho gaya
dil ki paDhi namaz garanthon ko chhoD kar
duniya samajh rahi hai ki farzana ho gaya
lo phir chali nasim KHizaon ke din gae
mahki fazaen dil mera mastana ho gaya
baada-kashi mein 'umr kaTi jis ki dosto
lo ab suna 'rafiq' bhi maulana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.