jis se bujhaun pyas wo manzar banae to
jis se bujhā.ūñ pyaas vo manzar banā.e to
kāġhaz pe hī sahī vo samundar banā.e to
chāhūñgā jān-o-dil se use bhī tirī tarah
tujh sā hasīn but koī aazar banā.e to
duniyā ne mere tan ko jakaḌ bhī liyā to kyā
apnī jagah vo dil ke bhī andar banā.e to
vāregī tujh pe jaan hī duniyā hazār baar
ḳhud ko haqīqatan tū qalandar banā.e to
phir zindagī kā asl mazā aa.egā tujhe
ghar apnā mere saath tū mil kar banā.e to
raas aa hī jaa.e ham ko ye shāyad isī tarah
duniyā ko ai ḳhudā tū mukarrar banā.e to
'najmī' agarche qatl use kar sake na ham
jo chal sakeñ havā pe vo ḳhanjar banā.e to
jis se bujhaun pyas wo manzar banae to
kaghaz pe hi sahi wo samundar banae to
chahunga jaan-o-dil se use bhi teri tarah
tujh sa hasin but koi aazar banae to
duniya ne mere tan ko jakaD bhi liya to kya
apni jagah wo dil ke bhi andar banae to
waregi tujh pe jaan hi duniya hazar bar
KHud ko haqiqatan tu qalandar banae to
phir zindagi ka asl maza aaega tujhe
ghar apna mere sath tu mil kar banae to
ras aa hi jae hum ko ye shayad isi tarah
duniya ko ai KHuda tu mukarrar banae to
'najmi' agarche qatl use kar sake na hum
jo chal saken hawa pe wo KHanjar banae to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.