jis tarah humne bhulae nahin jaane wale
jis tarah ham ne bhulā.e nahīñ jaane vaale
is tarah yaad rakheñge hameñ aane vaale
pahle suulī pe chaḌhāte hai masīhāoñ ko
baa'd meñ sog manāte haiñ manāne vaale
merī bātoñ ke ma'ānī bhī samajhte ai kaash
merī āvāz se āvāz milāne vaale
naam dete haiñ mujhe aaj ḳharābātī kā
is ḳharābe kī taraf khīñch ke laane vaale
dekhnā chāhiye hālāt kā raushan pahlū
rone vāloñ se samajhdār haiñ gaane vaale
bāda-ḳhvārī hī pe mā'tūb nahīñ aap 'sha'ūr'
aur bāteñ bhī batāte haiñ batāne vaale
jis tarah hum ne bhulae nahin jaane wale
is tarah yaad rakhenge hamein aane wale
pahle suli pe chaDhate hai masihaon ko
ba'd mein sog manate hain manane wale
meri baaton ke ma'ani bhi samajhte ai kash
meri aawaz se aawaz milane wale
nam dete hain mujhe aaj KHarabaati ka
is KHarabe ki taraf khinch ke lane wale
dekhna chahiye haalat ka raushan pahlu
rone walon se samajhdar hain gane wale
baada-KHwari hi pe ma'tub nahin aap 'sha'ur'
aur baaten bhi batate hain batane wale
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 157)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.