Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jise pala tha ek muddat tak aaghosh-e-tamanna mein

Shad Azimabadi

jise pala tha ek muddat tak aaghosh-e-tamanna mein

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    jise paalā thā ik muddat tak āġhosh-e-tamannā meñ

    vahī baanī huā mere ġham o dard o aziyyat

    usī ke haath se kyā kyā sahā sahnā hai kyā kyā kuchh

    ilāhī do jahāñ meñ muñh ho kaalā is muravvat

    kareñ insāf daavā asar kuchh bhī na zāhir ho

    mazā chakkhā hai aise dostoñ se bhī mohabbat

    miTā.eñ taaki apne zulm karne nadāmat ko

    nikāleñ DhūñD kar har tarah se pahlū shikāyat

    hasad meñ bharā hai laag hai ik umr se dil meñ

    kareñ zāhir agar mauqā hai iz.hār-e-adāvat

    tama.a meñ kuchh na samjheñ baap aur bhaa.ī hurmat ko

    amal dekho to ye phir kuchh kareñ daavā sharāfat

    mirī umr-e-do-roza bekasī ke saath kaTtī hai

    na apnoñ se na ġhairoñ se milā samra riyāzat

    jise dekhā jise paayā ġharaz apnī banda thā

    jahāñ maiñ ab mazā baaqī nahīñ ḳhālis mohabbat

    hamārā kalba-e-ahzāñ hai ham haiñ kitābeñ haiñ

    rahā baaqī na koī ham-nashīñ ab apnī qismat

    ḳhudā ābād rakkhe 'shād' mere un azīzoñ ko

    mazā chakkhvā diyā al-qarz-o-miqrāz-ul-mohabbat

    jise pala tha ek muddat tak aaghosh-e-tamanna mein

    wahi bani hua mere gham o dard o aziyyat ka

    usi ke hath se kya kya saha sahna hai kya kya kuchh

    ilahi do jahan mein munh ho kala is murawwat ka

    karen insaf ka dawa asar kuchh bhi na zahir ho

    maza chakkha hai aise doston se bhi mohabbat ka

    miTaen taki apne zulm karne ki nadamat ko

    nikalen DhunD kar har tarah se pahlu shikayat ka

    hasad ji mein bhara hai lag hai ek umr se dil mein

    karen zahir agar mauqa hai izhaar-e-adawat ka

    tama mein kuchh na samjhen bap aur bhai ki hurmat ko

    amal dekho to ye phir kuchh karen dawa sharafat ka

    meri umr-e-do-roza bekasi ke sath kaTti hai

    na apnon se na ghairon se mila samra riyazat ka

    jise dekha jise paya gharaz ka apni banda tha

    jahan main ab maza baqi nahin KHalis mohabbat ka

    hamara kalba-e-ahzan hai hum hain ya kitaben hain

    raha baqi na koi ham-nashin ab apni qismat ka

    KHuda aabaad rakkhe 'shad' mere un azizon ko

    maza chakkhwa diya al-qarz-o-miqraaz-ul-mohabbat ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now