Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jitne the tere jalwe sab ban gae but-KHane

Josh Malsiani

jitne the tere jalwe sab ban gae but-KHane

Josh Malsiani

MORE BYJosh Malsiani

    jitne the tire jalve sab ban ga.e but-ḳhāne

    ab chashm-e-tamāshā.ī kyuuñ kar tujhe pahchāne

    asrār haqīqat ke samjhe nahīñ farzāne

    taqsīr to thī un maare ga.e dīvāne

    mastān-e-mohabbat ne duniyā meñ yahī dekhā

    TuuTe hue paimāne TuuTe hue mai-ḳhāne

    phūloñ hañsī se bhī dil jin nahīñ khiltā

    un ko bhī hañsāte haiñ hañste hue paimāne

    vo haal sunā.ūñ kyā jo ġhair-mukammal hai

    ab tak to maiñ jānūñ aage ḳhudā jaane

    jhagḌā na kabhī uThtā tū-tū na kabhī hotī

    kuchh shaiḳh hai dīvāna kuchh riñd haiñ dīvāne

    vo mujh pe karam-farmā hogā ki nahīñ hogā

    us ko ḳhudā jaane merī qazā jaane

    ham kahte rahe jab tak rūdād mohabbat

    hañste rahe farzāne rote rahe dīvāne

    samjhā thā jinheñ apnā jab un ravish ye hai

    auroñ shikāyat kyā begāne to begāne

    vahshat to nahīñ mujh ko ai 'josh' magar phir bhī

    yaad aate haiñ rah rah kar chhoḌe hue vīrāne

    jitne the tere jalwe sab ban gae but-KHane

    ab chashm-e-tamashai kyun kar tujhe pahchane

    asrar haqiqat ke samjhe nahin farzane

    taqsir to thi un ki mare gae diwane

    mastan-e-mohabbat ne duniya mein yahi dekha

    TuTe hue paimane TuTe hue mai-KHane

    phulon ki hansi se bhi dil jin ka nahin khilta

    un ko bhi hansate hain hanste hue paimane

    wo haal sunaun kya jo ghair-mukammal hai

    ab tak ki to main jaanun aage ki KHuda jaane

    jhagDa na kabhi uThta tu-tu na kabhi hoti

    kuchh shaiKH hai diwana kuchh rind hain diwane

    wo mujh pe karam-farma hoga ki nahin hoga

    ya us ko KHuda jaane ya meri qaza jaane

    hum kahte rahe jab tak rudad mohabbat ki

    hanste rahe farzane rote rahe diwane

    samjha tha jinhen apna jab un ki rawish ye hai

    auron ki shikayat kya begane to begane

    wahshat to nahin mujh ko ai 'josh' magar phir bhi

    yaad aate hain rah rah kar chhoDe hue virane

    Source:

    Fridaus-e-Gosh (Pg. 29)

    • Author: Josh Malsiani
      • Edition: 1963
      • Publisher: Markaz Tasneef-o-Talif, Nikodar
      • Year of Publication: 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now