jo aa rahi hai badan se kamal ki KHushbu
jo aa rahī hai badan se kamāl kī ḳhushbū
mirī ragoñ meñ hai rizq-e-halāl kī ḳhushbū
usī ke dam se mo'attar hai kārvān-e-hayāt
hai mere ghar meñ jo ahl-o-'ayāl kī ḳhush-bū
zabāñ pe haiñ vahī kalme vahī hai soz magar
kahāñ se lā.ūñ azān-e-bilāl kī ḳhushbū
jiyeñge aur kahāñ tak ham apne maazī meñ
hameñ to chāhiye ab apne haal kī ḳhushbū
na aayā dil meñ kisī aur kā ḳhayāl kabhī
basī hai jab se tumhāre ḳhayāl kī ḳhushbū
tū apne fazl-o-karam se qubūl kar yā-rab
'habība' laa.ī hai dast-e-savāl kī ḳhushbū
jo aa rahi hai badan se kamal ki KHushbu
meri ragon mein hai rizq-e-halal ki KHushbu
usi ke dam se mo'attar hai karwan-e-hayat
hai mere ghar mein jo ahl-o-'ayal ki KHush-bu
zaban pe hain wahi kalme wahi hai soz magar
kahan se laun azan-e-bilal ki KHushbu
jiyenge aur kahan tak hum apne mazi mein
hamein to chahiye ab apne haal ki KHushbu
na aaya dil mein kisi aur ka KHayal kabhi
basi hai jab se tumhaare KHayal ki KHushbu
tu apne fazl-o-karam se qubul kar ya-rab
'habiba' lai hai dast-e-sawal ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.