jo baqi hai wo bhi ganwane baiTha hun
jo baaqī hai vo bhī gañvāne baiThā huuñ
aaj maiñ terā sog manāne baiThā huuñ
dekho apnī sahrā jaisī āñkhoñ se
maiñ dariyā kī pyaas bujhāne baiThā huuñ
us kā chehra yaad nahīñ aatā mujh ko
maiñ jis kī tasvīr banāne baiThā huuñ
bachcha nahīñ ikkīs baras kā dil hai ye
maiñ bhī bhalā kis ko samjhāne baiThā huuñ
aao raqībo baiTho merī mahfil meñ
aaj maiñ apnā ranj sunāne baiThā huuñ
marne vaalā chhoḌ gayā ḳhālī bistar
maiñ ab bhī us ke sir.hāne baiThā huuñ
jo baqi hai wo bhi ganwane baiTha hun
aaj main tera sog manane baiTha hun
dekho apni sahra jaisi aankhon se
main dariya ki pyas bujhane baiTha hun
us ka chehra yaad nahin aata mujh ko
main jis ki taswir banane baiTha hun
bachcha nahin ikkis baras ka dil hai ye
main bhi bhala kis ko samjhane baiTha hun
aao raqibo baiTho meri mahfil mein
aaj main apna ranj sunane baiTha hun
marne wala chhoD gaya KHali bistar
main ab bhi us ke sirhane baiTha hun
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 114)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.