Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo bhar len ek chuTki sahab-e-tasir miTTi ki

Qurban Ali Salik Beg

jo bhar len ek chuTki sahab-e-tasir miTTi ki

Qurban Ali Salik Beg

MORE BYQurban Ali Salik Beg

    jo bhar leñ ek chuTkī sāhab-e-tāsīr miTTī

    abhī sharminda-e-tāsīr ho iksīr miTTī

    banā kar aadmī kyuuñ āb-o-gil meñ ishq ko Daalā

    nikālī hai ḳhudā ne ye na.ī ta.azīr miTTī

    hamārī qabr par bhī ik hujūm-e-be-kasī hogā

    dikhā deñge pas-e-murdan tujhe tauqīr miTTī

    zamīn-e-kūcha-e-dil-dār ne kyā paañv pakḌe haiñ

    milī dīvāngān-e-ishq ko zanjīr miTTī

    rahegā TuuT kar bhī ḳhāna-e-dil ālam-e-hasrat

    use bhī aap samjhe haiñ magar ta.amīr miTTī

    yahī miTTī hai jis se sab banā.e jaate haiñ yārab

    butoñ meñ kyuuñ badal jaatī hai phir tāsīr miTTī

    vo kushta huuñ ki rū-e-ḳhāk par bhī aa ga.ī surḳhī

    ḳhushī se shakl badlī hai dam-e-takbīr miTTī

    junūn-e-ishq meñ tere zamāna ḳhaak barsar hai

    baḌhī hai in dinoñ tauqīr se tauqīr miTTī

    zabāñ thī ḳhudā ne bolne ke vāste lekin

    banāyā nāz-o-tamkīñ ne tumheñ tasvīr miTTī

    kahāñ sail-e-havādis meñ patā ham ḳhāksāroñ

    kahīñ Thahrī hai rū-e-āb par ta.amīr miTTī

    musallat ḳhākiyoñ par kyuuñ kiyā hai charḳh ko yārab

    na thā maqbūl uzr is to kyā taqsīr miTTī

    vo kyā kyā ḳhaak uḌāte haiñ zabāñ par aa ke ne to

    hamārī baat bhī ai nāla-e-shab-gīr miTTī

    tum aa.e mere ghar zarra zarra ho gayā raushan

    huī mehr-e-daraḳhshāñ se sivā tanvīr miTTī

    uḌāne dete haiñ vahshat-zada tere koī din meñ

    baḌhegī justujū ab sūrat-e-aksīr miTTī

    vo aa.e ḳhaak uḌāne ko pas-e-murdan to hasrat se

    hamārī ruuh kahtī hai zahe-taqdīr miTTī

    banāyā us se hai dushman ko aur ham ko magar 'sālik'

    kahīñ tauqīr miTTī kahīñ tahqīr miTTī

    jo bhar len ek chuTki sahab-e-tasir miTTi ki

    abhi sharminda-e-tasir ho iksir miTTi ki

    bana kar aadmi kyun aab-o-gil mein ishq ko Dala

    nikali hai KHuda ne ye nai tazir miTTi ki

    hamari qabr par bhi ek hujum-e-be-kasi hoga

    dikha denge pas-e-murdan tujhe tauqir miTTi ki

    zamin-e-kucha-e-dil-dar ne kya panw pakDe hain

    mili diwangan-e-ishq ko zanjir miTTi ki

    rahega TuT kar bhi KHana-e-dil aalam-e-hasrat

    use bhi aap samjhe hain magar tamir miTTi ki

    yahi miTTi hai jis se sab banae jate hain yarab

    buton mein kyun badal jati hai phir tasir miTTi ki

    wo kushta hun ki ru-e-KHak par bhi aa gai surKHi

    KHushi se shakl badli hai dam-e-takbir miTTi ki

    junun-e-ishq mein tere zamana KHak barsar hai

    baDhi hai in dinon tauqir se tauqir miTTi ki

    zaban di thi KHuda ne bolne ke waste lekin

    banaya naz-o-tamkin ne tumhein taswir miTTi ki

    kahan sail-e-hawadis mein pata hum KHaksaron ka

    kahin Thahri hai ru-e-ab par tamir miTTi ki

    musallat KHakiyon par kyun kiya hai charKH ko yarab

    na tha maqbul uzr is ka to kya taqsir miTTi ki

    wo kya kya KHak uDate hain zaban par aa ke tu ne to

    hamari baat bhi ai nala-e-shab-gir miTTi ki

    tum aae mere ghar ka zarra zarra ho gaya raushan

    hui mehr-e-daraKHshan se siwa tanwir miTTi ki

    uDane dete hain wahshat-zada tere koi din mein

    baDhegi justuju ab surat-e-aksir miTTi ki

    wo aae KHak uDane ko pas-e-murdan to hasrat se

    hamari ruh kahti hai zahe-taqdir miTTi ki

    banaya us se hai dushman ko aur hum ko magar 'salik'

    kahin tauqir miTTi ki kahin tahqir miTTi ki

    Source:

    Kulliyat-e-Saalik (Pg. e-428 p-396)

    • Author: Qurban Ali Salik Beg
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now