jo chiDiya mere ghar aa ja rahi thi
jo chiḌiyā mere ghar aa jā rahī thī
tumhāre ghar se tinke lā rahī thī
badan us kā bhī gūñgā ho gayā thā
hamārī bhī nazar haklā rahī thī
havā ne kyoñ bujhāyā thā diye ko
tirī ḳhushbū mujhe samjhā rahī thī
mirī āvāz pe qabza jamā kar
zarūrat jhūTh bole jā rahī thī
'ibādat ke darīche khul ga.e the
mohabbat aa rahī thī jā rahī thī
kahā sīrat ne us kī nazm likkho
magar sūrat ġhazal likhvā rahī thī
bhañvar se bachne meñ kashtī hamārī
magarmachhoñ meñ ghirtī jā rahī thī
musalsal bechnā paḌtī thiiñ ḳhushiyāñ
ġhamoñ par itnī lāgat aa rahī thī
jo chiDiya mere ghar aa ja rahi thi
tumhaare ghar se tinke la rahi thi
badan us ka bhi gunga ho gaya tha
hamari bhi nazar hakla rahi thi
hawa ne kyon bujhaya tha diye ko
teri KHushbu mujhe samjha rahi thi
meri aawaz pe qabza jama kar
zarurat jhuTh bole ja rahi thi
'ibaadat ke dariche khul gae the
mohabbat aa rahi thi ja rahi thi
kaha sirat ne us ki nazm likkho
magar surat ghazal likhwa rahi thi
bhanwar se bachne mein kashti hamari
magarmachhon mein ghirti ja rahi thi
musalsal bechna paDti thin KHushiyan
ghamon par itni lagat aa rahi thi
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 102)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.