jo dil pe hua hai wo sitam bol raha hai
jo dil pe huā hai vo sitam bol rahā hai
tum chup ho magar dīda-e-nam bol rahā hai
kab jāgoge tum niiñd se ai niiñd ke maato
ye vaqt koī baat aham bol rahā hai
barbādī-e-millat ke haiñ āsār numāyāñ
har shaḳhs har ik baat meñ ham bol rahā hai
mā'sūm tire hoñToñ pe mazmūm ye bāteñ
lahje meñ tire jāh-o-hasham bol rahā hai
ham log bhaTak aate haiñ ai rāhnumāoñ
raste kā har ik naqsh-e-qadam bol rahā hai
us shaḳhs se taqdīr vafā kar ga.ī shāyad
is vāste duniyā ko iram bol rahā hai
hoñToñ pe mire mohr-e-ḳhamoshī hai magar vo
maiñ kah nahīñ saktā jo qalam bol rahā hai
jo dil pe hua hai wo sitam bol raha hai
tum chup ho magar dida-e-nam bol raha hai
kab jagoge tum nind se ai nind ke mato
ye waqt koi baat aham bol raha hai
barbaadi-e-millat ke hain aasar numayan
har shaKHs har ek baat mein hum bol raha hai
ma'sum tere honTon pe mazmum ye baaten
lahje mein tere jah-o-hasham bol raha hai
hum log bhaTak aate hain ai rahnumaon
raste ka har ek naqsh-e-qadam bol raha hai
us shaKHs se taqdir wafa kar gai shayad
is waste duniya ko iram bol raha hai
honTon pe mere mohr-e-KHamoshi hai magar wo
main kah nahin sakta jo qalam bol raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.