aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakkha hai nam

Jaun Eliya

jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakkha hai nam

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    jo guzar dushman hai us rahguzar rakkhā hai naam

    zaat se apnī na hilne safar rakkhā hai naam

    paḌ gayā hai ik bhañvar us ko samajh baiThe haiñ ghar

    lahr uThī hai lahr dīvār-o-dar rakkhā hai naam

    naam jis bhī nikal jaa.e usī par hai madār

    us honā na honā kyaa, magar rakkhā hai naam

    ham yahāñ ḳhud aa.e haiñ laayā nahīñ koī hameñ

    aur ḳhudā ham ne apne naam par rakkhā hai naam

    chāk-e-chākī dekh kar pairāhan-e-pahnā.ī

    maiñ ne apne har nafs baḳhiya-gar rakkhā hai naam

    merā siina koī chhalnī bhī agar kar de to kyā

    maiñ ne to ab apne siine sipar rakkhā hai naam

    din hue par kahīñ honā kisī bhī shakl meñ

    jaag kar ḳhvāboñ ne terā raat bhar rakkhā hai naam

    jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakkha hai nam

    zat se apni na hilne ka safar rakkha hai nam

    paD gaya hai ek bhanwar us ko samajh baiThe hain ghar

    lahr uThi hai lahr ka diwar-o-dar rakkha hai nam

    nam jis ka bhi nikal jae usi par hai madar

    us ka hona ya na hona kya, magar rakkha hai nam

    hum yahan KHud aae hain laya nahin koi hamein

    aur KHuda ka hum ne apne nam par rakkha hai nam

    chaak-e-chaaki dekh kar pairahan-e-pahnai ki

    main ne apne har nafs ka baKHiya-gar rakkha hai nam

    mera sina koi chhalni bhi agar kar de to kya

    main ne to ab apne sine ka sipar rakkha hai nam

    din hue par tu kahin hona kisi bhi shakl mein

    jag kar KHwabon ne tera raat bhar rakkha hai nam

    Source:

    goya, (Pg. 133)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now