Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo guzre jaan se to paya-e-takmil tak pahunche

Zaheer Abbas Saer

jo guzre jaan se to paya-e-takmil tak pahunche

Zaheer Abbas Saer

MORE BYZaheer Abbas Saer

    jo guzre jaan se to pāya-e-takmīl tak pahuñche

    nahīñ mumkin ki koī ziist tafsīl tak pahuñche

    rahe abjad ke chakkar meñ jo the fikr se aarī

    hue fāzil vahī jo zauq takmīl tak pahuñche

    rahe bartar jahāñ meñ diin ke jab tak rahe shaidā

    hue jab diin se ġhāfil to ham tazlīl tak pahuñche

    pahuñchtā hai dalā.el se to insāñ bad natīje par

    zarā baat thī kyoñ us tum tāvīl tak pahuñche

    apnī zindagī meñ ḳhud ko pahuñchā aisī ḳhūbī tak

    zamāna ho tirā joyā tirī tamsīl tak pahuñche

    rasā.ī jin thī sarkār-e-sharq-o-ġharb ke dar tak

    vo sham.a-e-dīn ko le kar hazāroñ miil tak pahuñche

    bahut se naujavāñ ghuum aa.e landan aur paris tak

    koī mard-e-jarī ausāf-e-ismā.īl tak pahuñche

    zamīn-e-sher ārā.ishoñ tak na rakh matlab

    taḳhayyul hai vahī jo halqa-e-jibrīl tak pahuñche

    qavāfī chand dām-e-fikr tak pahuñche the ai 'sā.ir'

    ye alfāz-e-hasīñ ash.ār tashkīl tak pahuñche

    jo guzre jaan se to paya-e-takmil tak pahunche

    nahin mumkin ki koi zist ki tafsil tak pahunche

    rahe abjad ke chakkar hi mein jo the fikr se aari

    hue fazil wahi jo zauq ki takmil tak pahunche

    rahe bartar jahan mein din ke jab tak rahe shaida

    hue jab din se ghafil to hum tazlil tak pahunche

    pahunchta hai dalael se to insan bad natije par

    zara si baat thi kyon us ki tum tawil tak pahunche

    tu apni zindagi mein KHud ko pahuncha aisi KHubi tak

    zamana ho tera joya teri tamsil tak pahunche

    rasai jin ki thi sarkar-e-sharq-o-gharb ke dar tak

    wo shama-e-din ko le kar hazaron mil tak pahunche

    bahut se naujawan ghum aae landan aur paris tak

    koi mard-e-jari ausaf-e-ismail tak pahunche

    zamin-e-sher ki aaraishon hi tak na rakh matlab

    taKHayyul hai wahi jo halqa-e-jibril tak pahunche

    qawafi chand dam-e-fikr tak pahunche the ai 'sair'

    ye alfaz-e-hasin ashaar ki tashkil tak pahunche

    Source:

    Lauh-e-Khayal (Pg. 105)

    • Author: Zaheer Abbas Saer
      • Publisher: Anjuman Azmat Fan Mandi Bahauddin
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now