jo haalat ab hai is dil ki ye haalat phir kahan hogi
jo hālat ab hai is dil kī ye hālat phir kahāñ hogī
ġhazal kah leñ idhar maa.il tabī.at phir kahāñ hogī
milā hai ab jo ġham mujh ko rahegā umr bhar dil meñ
jo shiddat aaj hai is meñ vo shiddat phir kahāñ hogī
abhī ik dūsre ko dekh leñ donoñ nazar bhar ke
bichhaḌne kā hai vaqt aayā ye qurbat phir kahāñ hogī
mileñge phir ye kahte ho kabhī vāpas jo aa.e to
kahāñ aise miloge tum ye sūrat phir kahāñ hogī
judā ho kar bhī tujh se zindagī ai dost guzregī
bahar-sūrat magar ye ḳhūbsūrat phir kahāñ hogī
shikāyat thī tumheñ ham se hameñ bhī tum se shikva thā
kareñge kis se phir shikva shikāyat phir kahāñ hogī
chaleñ 'mas.ūd' hāl-e-dil ab un se apnā kah deñ ham
milegī phir kise fursat ye jur.at phir kahāñ hogī
jo haalat ab hai is dil ki ye haalat phir kahan hogi
ghazal kah len idhar mail tabiat phir kahan hogi
mila hai ab jo gham mujh ko rahega umr bhar dil mein
jo shiddat aaj hai is mein wo shiddat phir kahan hogi
abhi ek dusre ko dekh len donon nazar bhar ke
bichhaDne ka hai waqt aaya ye qurbat phir kahan hogi
milenge phir ye kahte ho kabhi wapas jo aae to
kahan aise miloge tum ye surat phir kahan hogi
juda ho kar bhi tujh se zindagi ai dost guzregi
bahar-surat magar ye KHubsurat phir kahan hogi
shikayat thi tumhein hum se hamein bhi tum se shikwa tha
karenge kis se phir shikwa shikayat phir kahan hogi
chalen 'masud' haal-e-dil ab un se apna kah den hum
milegi phir kise fursat ye jurat phir kahan hogi
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 195)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.