jo ho raha hai wo bhi kahan ho raha hai dekh
jo ho rahā hai vo bhī kahāñ ho rahā hai dekh
sab kuchh huā rakhā hai gumāñ ho rahā hai dekh
vaqtoñ kā ye milāp ye dariyā kī sust lai
Tuk aañkh pher kaisā samāñ ho rahā hai dekh
in dhyān-magn sabz daraḳhtoñ ke ird-gird
ye kaisī raushnī kā nishāñ ho rahā hai dekh
pīchhe paḌā huā hai koī be-hisī kā bhuut
kis samt apnā shahr ravāñ ho rahā hai dekh
'sānī' sañbhal ki ḳhatre meñ hai ab tirā vujūd
ye kaun tere jism meñ jaañ ho rahā hai dekh
jo ho raha hai wo bhi kahan ho raha hai dekh
sab kuchh hua rakha hai guman ho raha hai dekh
waqton ka ye milap ye dariya ki sust lai
Tuk aankh pher kaisa saman ho raha hai dekh
in dhyan-magn sabz daraKHton ke ird-gird
ye kaisi raushni ka nishan ho raha hai dekh
pichhe paDa hua hai koi be-hisi ka bhut
kis samt apna shahr rawan ho raha hai dekh
'sani' sanbhal ki KHatre mein hai ab tera wujud
ye kaun tere jism mein jaan ho raha hai dekh
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 37)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.