jo is zulf-e-pechan ko hum dekhte hain
jo is zulf-e-pechāñ ko ham dekhte haiñ
dhuāñ sā ye har pech-o-ḳham dekhte haiñ
nazar un kī kamzor itnī huī hai
ki ainak se bhī ab vo kam dekhte haiñ
sañpoloñ ko rakhte the jin meñ chhupā kar
ab un āstīnoñ meñ bam dekhte haiñ
tire mai-kade ke balā-nosh mai-kash
na jin dekhte haiñ na ram dekhte haiñ
vo guzre haiñ motor se pakkī saḌak par
abas log naqsh-e-qadam dekhte haiñ
bahut din rahe aap pinDī meñ 'bulbul'
chalo ab chaleñ torḳham dekhte haiñ
jo is zulf-e-pechan ko hum dekhte hain
dhuan sa ye har pech-o-KHam dekhte hain
nazar un ki kamzor itni hui hai
ki ainak se bhi ab wo kam dekhte hain
sanpolon ko rakhte the jin mein chhupa kar
ab un aastinon mein bam dekhte hain
tere mai-kade ke bala-nosh mai-kash
na jin dekhte hain na ram dekhte hain
wo guzre hain motor se pakki saDak par
abas log naqsh-e-qadam dekhte hain
bahut din rahe aap pinDi mein 'bulbul'
chalo ab chalen torKHam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.