Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo KHatar sa tha kahin bahr-o-bar mein chhupa hua

Mumtaz Athar

jo KHatar sa tha kahin bahr-o-bar mein chhupa hua

Mumtaz Athar

MORE BYMumtaz Athar

    jo ḳhatar thā kahīñ bahr-o-bar meñ chhupā huā

    mire saath hai mire bāl-o-par meñ chhupā huā

    mujhe 'arsa-e-mah-o-sāl meñ nahīñ khojnā

    maiñ huuñ ek lamha-e-muḳhtasar meñ chhupā huā

    maiñ huuñ ek 'umr se qatl-gah ko ravāñ-davāñ

    koī aur hai jo hai mere ghar meñ chhupā huā

    saf-e-dostāñ se nikal ke vo mirī ghaat meñ

    hai kamāñ-ba-kaf mirī rah-guzar meñ chhupā huā

    maiñ huuñ aa.ina mire rū-barū koī aur hai

    mirā 'aks hai mire 'aks-gar meñ chhupā huā

    mujhe chaak honā hai ek din kisī chaak par

    maiñ huuñ mo'jiza kaf-e-kūza-gar meñ chhupā huā

    kisī naqsh meñ tire ḳhadd-o-ḳhāl se aa.egā

    ye jo rang hai mire hunar meñ chhupā huā

    jo KHatar sa tha kahin bahr-o-bar mein chhupa hua

    mere sath hai mere baal-o-par mein chhupa hua

    mujhe 'arsa-e-mah-o-sal mein nahin khojna

    main hun ek lamha-e-muKHtasar mein chhupa hua

    main hun ek 'umr se qatl-gah ko rawan-dawan

    koi aur hai jo hai mere ghar mein chhupa hua

    saf-e-dostan se nikal ke wo meri ghat mein

    hai kaman-ba-kaf meri rah-guzar mein chhupa hua

    main hun aaina mere ru-baru koi aur hai

    mera 'aks hai mere 'aks-gar mein chhupa hua

    mujhe chaak hona hai ek din kisi chaak par

    main hun mo'jiza kaf-e-kuza-gar mein chhupa hua

    kisi naqsh mein tere KHadd-o-KHal se aaega

    ye jo rang sa hai mere hunar mein chhupa hua

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now