jo KHwab mujhe halqa-e-sad-KHwab mein laya
jo ḳhvāb mujhe halqa-e-sad-ḳhvāb meñ laayā
tasvīr banā maiñ use ahbāb meñ laayā
ik lafz mujhe jāda-e-shamshīr huā thā
vo lafz mujhe qarya-e-shādāb meñ laayā
lā-yā'nī-o-be-mā'nī thī kal tak mirī hastī
ik shaḳhs mujhe ḳhāna-e-e'rāb meñ laayā
āñkhoñ se Tapakne lagā ā.īna-e-sayyāl
kal raat jo ik 'aks vo mahtāb meñ laayā
be-harf huī jab kabhī dīvār-e-navishta
maiñ anjum-e-shab-tāb ko mehrāb meñ laayā
vo mehr pe aayā bhī to ham tishna-labāñ tak
ik mauj-e-ajal shīsha-e-talḳhāb meñ laayā
sho'la sā lapaktā thā sar-e-bazm jo 'at.har'
maiñ khīñch ke us ko dil-e-betāb meñ laayā
jo KHwab mujhe halqa-e-sad-KHwab mein laya
taswir bana main use ahbab mein laya
ek lafz mujhe jada-e-shamshir hua tha
wo lafz mujhe qarya-e-shadab mein laya
la-ya'ni-o-be-ma'ni thi kal tak meri hasti
ek shaKHs mujhe KHana-e-e'rab mein laya
aankhon se Tapakne laga aaina-e-sayyal
kal raat jo ek 'aks wo mahtab mein laya
be-harf hui jab kabhi diwar-e-nawishta
main anjum-e-shab-tab ko mehrab mein laya
wo mehr pe aaya bhi to hum tishna-laban tak
ek mauj-e-ajal shisha-e-talKHab mein laya
sho'la sa lapakta tha sar-e-bazm jo 'athar'
main khinch ke us ko dil-e-betab mein laya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.