jo kuchh bhi mere pas tha khona paDa mujhe
jo kuchh bhī mere paas thā khonā paḌā mujhe
zaḳhmoñ meñ nashtaroñ ko chubhonā paḌā mujhe
terī taraf se jab koī tohfa na mil sakā
ashkoñ ke motiyoñ ko pironā paḌā mujhe
ai jān-e-jāñ tire liye kyā kyā na kar ga.ī
maiñ bevafā nahīñ thī pe honā paḌā mujhe
tū ne diye jo dard kabhī miT nahīñ sake
har daaġh āñsuoñ se hī dhonā paḌā mujhe
tū bhī mirī pasand thā merā nasīb thā
ye baat soch soch ke ronā paḌā mujhe
maiñ 'prīt' us ke hijr meñ jaltī rahī sadā
kāñToñ kī sej thī jahāñ sonā paḌā mujhe
jo kuchh bhi mere pas tha khona paDa mujhe
zaKHmon mein nashtaron ko chubhona paDa mujhe
teri taraf se jab koi tohfa na mil saka
ashkon ke motiyon ko pirona paDa mujhe
ai jaan-e-jaan tere liye kya kya na kar gai
main bewafa nahin thi pe hona paDa mujhe
tu ne diye jo dard kabhi miT nahin sake
har dagh aansuon se hi dhona paDa mujhe
tu bhi meri pasand tha mera nasib tha
ye baat soch soch ke rona paDa mujhe
main 'prit' us ke hijr mein jalti rahi sada
kanTon ki sej thi jahan sona paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.