Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo na-murad kucha-e-jaanan mein aa gae

Boom Merathi

jo na-murad kucha-e-jaanan mein aa gae

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    jo nā-murād kūcha-e-jānāñ meñ aa ga.e

    marne se pahle gor-e-ġharībāñ meñ aa ga.e

    chhūte mere mūñchh tarah ukhaḌ ga.ī

    bal lākhoñ terī zulf-e-pareshāñ meñ aa ga.e

    likkhī haiñ vahshiyoñ ke muqaddar meñ do jagah

    zindāñ se jab chhuTe to bayābāñ meñ aa ga.e

    elān-e-dīd sunte do roz peshtar

    āshiq hazāroñ kūcha-e-jānāñ meñ aa ga.e

    ham pāgaloñ aur Thikānā kahīñ nahīñ

    bastī meñ jab piTe to bayābāñ meñ aa ga.e

    muddat se thī inheñ jo namak-pāshiyoñ chaah

    zaḳhm-e-jigar uchhal ke namakdāñ meñ aa ga.e

    vahshat meñ aa gayā hameñ biivī jab ḳhayāl

    us ko bhī saath le ke bayābāñ meñ aa ga.e

    piTvāyā ḳhuub unheñ darbāñ ke haath se

    jo be-bulā.e mahfil-e-jānāñ meñ aa ga.e

    aahā aur ajab shor mach gayā

    jis vaqt 'būm' bazm-e-suḳhan-dāñ meñ aa ga.e

    jo na-murad kucha-e-jaanan mein aa gae

    marne se pahle gor-e-ghariban mein aa gae

    chhute hi mere munchh ki tarah ukhaD gai

    bal lakhon teri zulf-e-pareshan mein aa gae

    likkhi hain wahshiyon ke muqaddar mein do jagah

    zindan se jab chhuTe to bayaban mein aa gae

    elan-e-did sunte hi do roz peshtar

    aashiq hazaron kucha-e-jaanan mein aa gae

    hum pagalon ka aur Thikana kahin nahin

    basti mein jab piTe to bayaban mein aa gae

    muddat se thi inhen jo namak-pashiyon ki chah

    zaKHm-e-jigar uchhal ke namakdan mein aa gae

    wahshat mein aa gaya hamein biwi ka jab KHayal

    us ko bhi sath le ke bayaban mein aa gae

    piTwaya KHub hi unhen darban ke hath se

    jo be-bulae mahfil-e-jaanan mein aa gae

    aaha ka aur hu ka ajab shor mach gaya

    jis waqt 'bum' bazm-e-suKHan-dan mein aa gae

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Boom (Pg. 93)

      • Publisher: Jawahar Book Depot, Meerut
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now