Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo naqsh miT chuka hai banana to hai nahin

Nabeel Ahmad Nabeel

jo naqsh miT chuka hai banana to hai nahin

Nabeel Ahmad Nabeel

MORE BYNabeel Ahmad Nabeel

    jo naqsh miT chukā hai banānā to hai nahīñ

    ujḌā dayār ham ne basānā to hai nahīñ

    āñkhoñ ke diip raah meñ us ke jalā.eñ kyā

    is ne palaT ke phir kabhī aanā to hai nahīñ

    lāzim hai chalnā ziist rāhoñ pe bhī magar

    jo gir paḌe kisī ne uThānā to hai nahīñ

    bhar jā.egā ye thoḌī chāragarī ke ba.ad

    taaza lagā hai zaḳhm purānā to hai nahīñ

    kab tak vafā ke ma.anī batātā rahūñ use

    us bevafā ne raah pe aanā to hai nahīñ

    kuchh der Thahar jaa.e vo ḳhud ḳhudā kare

    is baar koī aisā bahānā to hai nahīñ

    phir ḳhvāhishoñ ke peḌ pe baiTheñge dekhnā

    in panchhiyoñ koī Thikānā to hai nahīñ

    allāh-re vafā.eñ ye ḳhūbān-e-shahr

    manzar dhuāñ dhuāñ hai suhānā to hai nahīñ

    mansūb kar duuñ maiñ jo tirī zindagī ke saath

    yādoñ mere paas ḳhazāna to hai nahīñ

    kyuuñ phir kisī ke dil meñ mohabbat basā.eñ ham

    jab āshiqī meñ naam kamānā to hai nahīñ

    qismat hai is ke sāmne ban jaa.e koī baat

    vaise koī bhī baat banānā to hai nahīñ

    sochūñ to saare log nishāne pe haiñ magar

    dekhūñ koī kisī nishāna to hai nahīñ

    vo apnā dard aap sunā.e to baat hai

    ham ne kisī dard sunānā to hai nahīñ

    ik dūsre ghaat meñ baiThe haiñ sab magar

    is vaqt ne kisī ko bachānā to hai nahīñ

    hai tā.irān-e-shauq maslak to ḳhāmushī

    hai maslahat ki shor machānā to hai nahīñ

    ishq-o-nazar dā.imī rishta azal se hai

    majnūñ ne shahr chhoḌ ke jaanā to hai nahīñ

    hāsil kiyā na is liye ta.amīr hunar

    ham ne nayā jahān basānā to hai nahīñ

    kaise rasā.ī ho mirī us ke mizāj tak

    ahvāl us ne dil sunānā to hai nahīñ

    mahrūm ham na hoñ kabhī maañ duāoñ se

    nāyāb aisā koī ḳhazāna to hai nahīñ

    dekhegā kaun chāk-e-garebān ko 'nabīl'

    farhād-o-qais ye zamāna to hai nahīñ

    jo naqsh miT chuka hai banana to hai nahin

    ujDa dayar hum ne basana to hai nahin

    aankhon ke dip rah mein us ke jalaen kya

    is ne palaT ke phir kabhi aana to hai nahin

    lazim hai chalna zist ki rahon pe bhi magar

    jo gir paDe kisi ne uThana to hai nahin

    bhar jaega ye thoDi si chaaragari ke baad

    taza laga hai zaKHm purana to hai nahin

    kab tak wafa ke mani batata rahun use

    us bewafa ne rah pe aana to hai nahin

    kuchh der Thahar jae wo KHud hi KHuda kare

    is bar koi aisa bahana to hai nahin

    phir KHwahishon ke peD pe baiThenge dekhna

    in panchhiyon ka koi Thikana to hai nahin

    allah-re wafaen ye KHuban-e-shahr ki

    manzar dhuan dhuan hai suhana to hai nahin

    mansub kar dun main jo teri zindagi ke sath

    yaadon ka mere pas KHazana to hai nahin

    kyun phir kisi ke dil mein mohabbat basaen hum

    jab aashiqi mein nam kamana to hai nahin

    qismat hai is ke samne ban jae koi baat

    waise koi bhi baat banana to hai nahin

    sochun to sare log nishane pe hain magar

    dekhun koi kisi ka nishana to hai nahin

    wo apna dard aap sunae to baat hai

    hum ne kisi ka dard sunana to hai nahin

    ek dusre ki ghat mein baiThe hain sab magar

    is waqt ne kisi ko bachana to hai nahin

    hai tairan-e-shauq ka maslak to KHamushi

    hai maslahat ki shor machana to hai nahin

    ishq-o-nazar ka daimi rishta azal se hai

    majnun ne shahr chhoD ke jaana to hai nahin

    hasil kiya na is liye tamir ka hunar

    hum ne naya jahan basana to hai nahin

    kaise rasai ho meri us ke mizaj tak

    ahwal us ne dil ka sunana to hai nahin

    mahrum hum na hon kabhi man ki duaon se

    nayab aisa koi KHazana to hai nahin

    dekhega kaun chaak-e-gareban ko 'nabil'

    farhad-o-qais ka ye zamana to hai nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now