jo qatl ho raha tha koi na-tawan tha
jo qatl ho rahā thā koī nā-tavān thā
chup-chāp dekhtā thā khaḌā hukmrān thā
ye daur jis kā dard bayāñ kar rahā huuñ maiñ
ik tiir zulm kā thā sitam kī kamān thā
mere liye 'ajīb sī duniyā thī soch kī
jis meñ ḳhudā ke vāste puḳhta makān thā
donoñ ke darmiyān ḳhalā fasl-o-nasl kā
'ātish' agar javān thā maiñ naujavān thā
mere liye ġhazal nahīñ machhlī kī aañkh thī
har she'r is shikār meñ 'arjun' kā baan thā
raġhbat hai us ko khet meñ maujūd ghaas se
phir ḳhud-kushī ne maar diyā phir kisān thā
markaz hī 'irtazā' se judā ho sakā 'nishāt'
jis kā vo yār-e-ġhār taḳhallus thā jaan thā
jo qatl ho raha tha koi na-tawan tha
chup-chap dekhta tha khaDa hukmran tha
ye daur jis ka dard bayan kar raha hun main
ek tir zulm ka tha sitam ki kaman tha
mere liye 'ajib si duniya thi soch ki
jis mein KHuda ke waste puKHta makan tha
donon ke darmiyan KHala fasl-o-nasl ka
'atish' agar jawan tha main naujawan tha
mere liye ghazal nahin machhli ki aankh thi
har she'r is shikar mein 'arjun' ka ban tha
raghbat hai us ko khet mein maujud ghas se
phir KHud-kushi ne mar diya phir kisan tha
markaz hi 'irtaza' se juda ho saka 'nishat'
jis ka wo yar-e-ghaar taKHallus tha jaan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.