jo raat ban ke tere samne se guzra tha
jo raat ban ke tire sāmne se guzrā thā
kisī kā 'aks nahīñ thā vo merā saaya thā
lagī jo aañkh to manzar thā aa.ine jaisā
khulī jo aañkh to bāhar shadīd kohra thā
kise pukārte ham aur kise ḳhabar dete
jidhar uThā.ī nazar us taraf añdherā thā
khulā vo shoḳh to duniyā simaT ga.ī mujh meñ
mirī nigāh meñ Thahrā huā sā dariyā thā
na jaane kaun thā vo qahqahoñ kī sūrat meñ
us aa.ine meñ na maiñ thā na merā chehra thā
jo raat ban ke tere samne se guzra tha
kisi ka 'aks nahin tha wo mera saya tha
lagi jo aankh to manzar tha aaine jaisa
khuli jo aankh to bahar shadid kohra tha
kise pukarte hum aur kise KHabar dete
jidhar uThai nazar us taraf andhera tha
khula wo shoKH to duniya simaT gai mujh mein
meri nigah mein Thahra hua sa dariya tha
na jaane kaun tha wo qahqahon ki surat mein
us aaine mein na main tha na mera chehra tha
- Book : Ishq (Pg. 123)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.