jo rang chaDha dil pe mere tez bahut hai
jo rang chaḌhā dil pe mire tez bahut hai
ab ke jo huā 'ishq junūñ-ḳhez bahut hai
kyā jāniye kis taur se dekhā hai kisī ne
dil meñ jo uThī mauj tarab-ḳhez bahut hai
vāfar hai muqaddar meñ mire dard kī daulat
kuchh yuuñ bhī mirī chashm guhar-rez bahut hai
baḳhshe haiñ ise 'ishq ne riqqat ke ḳhazāne
paimāna mire dil kā jo labrez bahut hai
kyā baat baḌhe kam-suḳhanī ham ko bhī lāhaq
aur is pe vo dil-dār kam-āmez bahut hai
'nasrīn' rahe Dor ta'alluq kī ye qaa.em
ye silsila-e-rabt dil-āvez bahut hai
jo rang chaDha dil pe mere tez bahut hai
ab ke jo hua 'ishq junun-KHez bahut hai
kya jaaniye kis taur se dekha hai kisi ne
dil mein jo uThi mauj tarab-KHez bahut hai
wafar hai muqaddar mein mere dard ki daulat
kuchh yun bhi meri chashm guhar-rez bahut hai
baKHshe hain ise 'ishq ne riqqat ke KHazane
paimana mere dil ka jo labrez bahut hai
kya baat baDhe kam-suKHani hum ko bhi lahaq
aur is pe wo dil-dar kam-amez bahut hai
'nasrin' rahe Dor ta'alluq ki ye qaem
ye silsila-e-rabt dil-awez bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.