Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo raqibon ne kaha tu wahi bad-zan samjha

Shah Naseer

jo raqibon ne kaha tu wahi bad-zan samjha

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    jo raqīboñ ne kahā vahī bad-zan samjhā

    dost afsos na samjhā mujhe dushman samjhā

    nā-tavāñ vo huuñ ki bistar pe mujhe dekh ke aah

    tār-e-bistar koī samjhā koī sozan samjhā

    teġh-e-qātil jo mohabbat se lagī aa ke gale

    taab ko us maiñ apnī rag-e-gardan samjhā

    apne pājāma-e-kam-ḳhvāb har boTī ko

    sham.a-rū shab ko charāġh-e-tah-e-dāman samjhā

    sur-at-e-ablaq-e-ayyām se ġhāfil thā aah

    dam-e-āḳhir maiñ use umr tausan samjhā

    ḳhār-e-sahrā se chhidī jab kaf-e-pā majnūñ

    ḳhāk-bezī ko vo ġhirbāl rauzan samjhā

    kamar-e-yār az-bas-ki jo rahtā hai ḳhayāl

    dil ko maiñ chīnī-e-mū-dār bartan samjhā

    gul ko ma.alūm na thī hasti-e-fānī apnī

    ai nasīm-e-saharī vaqt-e-shaguftan samjhā

    bistar-e-gul se munaqqash jo huā us badan

    tan-e-nāzuk pe vo phul-kārī chipkan samjhā

    jīte-jī chāhiye hai āqibat-e-kār fikr

    fā.eda kyā agar insāñ pas-e-murdan samjhā

    mīrzā.ī ko na fariyād ne chhoḌā tā-marg

    jīġha-e-sar tujhe ai tesha-e-āhan samjhā

    aks-afgan hai tire sāġhar-e-sahbā meñ ye zulf

    abas ai but-e-mai-kash use nāgan samjhā

    sāya-e-zulf ne us ke ye diyā dhokā raat

    chalne vāloñ ne jise af.ī-e-rahzan samjhā

    chashm ne apnī taraf se to sujhā.ī thī 'nasīr'

    dil na par us sitam-ījād chitvan samjhā

    jo raqibon ne kaha tu wahi bad-zan samjha

    dost afsos na samjha mujhe dushman samjha

    na-tawan wo hun ki bistar pe mujhe dekh ke aah

    tar-e-bistar koi samjha koi sozan samjha

    tegh-e-qatil jo mohabbat se lagi aa ke gale

    tab ko us ki main apni rag-e-gardan samjha

    apne pajama-e-kam-KHwab ki har boTi ko

    shama-ru shab ko charagh-e-tah-e-daman samjha

    sur-at-e-ablaq-e-ayyam se ghafil tha aah

    dam-e-aKHir main use umr ka tausan samjha

    KHar-e-sahra se chhidi jab kaf-e-pa majnun ki

    KHak-bezi ko wo ghirbaal ka rauzan samjha

    kamar-e-yar ka az-bas-ki jo rahta hai KHayal

    dil ko main chini-e-mu-dar ka bartan samjha

    gul ko malum na thi hasti-e-fani apni

    ai nasim-e-sahari waqt-e-shaguftan samjha

    bistar-e-gul se munaqqash jo hua us ka badan

    tan-e-nazuk pe wo phul-kari ki chipkan samjha

    jite-ji chahiye hai aaqibat-e-kar ki fikr

    faeda kya agar insan pas-e-murdan samjha

    mirzai ko na fariyaad ne chhoDa ta-marg

    jigha-e-sar tujhe ai tesha-e-ahan samjha

    aks-afgan hai tere saghar-e-sahba mein ye zulf

    tu abas ai but-e-mai-kash use nagan samjha

    saya-e-zulf ne us ke ye diya dhoka raat

    chalne walon ne jise afi-e-rahzan samjha

    chashm ne apni taraf se to sujhai thi 'nasir'

    dil na par us sitam-ijad ki chitwan samjha

    Source:

    Kulliyat-e-Shah Nasiir (part-1) (Pg. 170)

    • Author: Shah Naseer
      • Edition: 1971
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now