jo ruKH pe uske nukta-e-kamal tha
jo ruḳh pe us ke nukta-e-kamāl thā
thā ḳhaal us ke husn par jo daal thā
kuchh aur hī mu'āmla thā 'ishq meñ
jise thā samjhā dard indimāl thā
banā diyā thā jis ne aa.ina mujhe
thā bā-hunar vo shaḳhs bā-kamāl thā
muhīt sadiyoñ par thā hijr kā vo pal
bas ek lamha 'arsa-e-visāl thā
milā rahā hai ab jo haañ meñ haañ tirī
kabhī vo shaḳhs merā ham-ḳhayāl thā
girā diyā nazar se tum ne jis ghaḌī
ye dil kahāñ thā barg-e-pā.emāl thā
na jaane kyoñ yaqīñ kī Dor toḌ dī
na jaane tum ko kaisā ehtimāl thā
nahīñ guzar bhī us kā ab ḳhayāl meñ
kabhī jo merā markaz-e-ḳhayāl thā
palak jhapak sake na us ke rū-ba-rū
thī hairateñ ki varta-e-jamāl thā
kahāñ hai 'nasrīñ' pahle jaisī baat ab
na jā sakā jo aa.ine meñ baal thā
jo ruKH pe us ke nukta-e-kamal tha
tha KHal us ke husn par jo dal tha
kuchh aur hi mu'amla tha 'ishq mein
jise tha samjha dard indimal tha
bana diya tha jis ne aaina mujhe
tha ba-hunar wo shaKHs ba-kamal tha
muhit sadiyon par tha hijr ka wo pal
bas ek lamha 'arsa-e-visal tha
mila raha hai ab jo han mein han teri
kabhi wo shaKHs mera ham-KHayal tha
gira diya nazar se tum ne jis ghaDi
ye dil kahan tha barg-e-paemal tha
na jaane kyon yaqin ki Dor toD di
na jaane tum ko kaisa ehtimal tha
nahin guzar bhi us ka ab KHayal mein
kabhi jo mera markaz-e-KHayal tha
palak jhapak sake na us ke ru-ba-ru
thi hairaten ki warta-e-jamal tha
kahan hai 'nasrin' pahle jaisi baat ab
na ja saka jo aaine mein baal tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.