jo saf-go hon to unchi jagah khaDa milunga
jo sāf-go hoñ to ūñchī jagah khaḌā milūñgā
vagarna tujh ko kahīñ ḳhaak meñ paḌā milūñgā
tū sāloñ baad bhī mujh ko manāne aa.e to
maiñ apnī ek hī zid par tujhe aḌā milūñgā
tū ḳhud ko yūñhī girātā rahā to āḳhir-kār
maiñ tere qad se tujhe sau gunā baḌā milūñgā
lakīr khīñch ke rakhnā tasallī kī ḳhātir
ki apnī had se na yaksar tujhe baḌhā milūñgā
huuñ bā-vafā to mirā sar nahīñ jhukegā kabhī
jo bevafā huuñ to phir sharm se gaḌā milūñgā
sadāqateñ mirī shādāb hī rakheñgī mujhe
maiñ zard pattā nahīñ huuñ ki jo jhaḌā milūñgā
sitam se bhaag ke jiinā hai maut se bad-tar
barā-e-haq maiñ tujhe daar par chaḌhā milūñgā
jo saf-go hon to unchi jagah khaDa milunga
wagarna tujh ko kahin KHak mein paDa milunga
tu salon baad bhi mujh ko manane aae to
main apni ek hi zid par tujhe aDa milunga
tu KHud ko yunhi giraata raha to aaKHir-kar
main tere qad se tujhe sau guna baDa milunga
lakir khinch ke rakhna tasalli ki KHatir
ki apni had se na yaksar tujhe baDha milunga
hun ba-wafa to mera sar nahin jhukega kabhi
jo bewafa hun to phir sharm se gaDa milunga
sadaqaten meri shadab hi rakhengi mujhe
main zard patta nahin hun ki jo jhaDa milunga
sitam se bhag ke jina hai maut se bad-tar
bara-e-haq main tujhe dar par chaDha milunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.