jo suna paDa hai wo dar yaad aaya
jo suunā paḌā hai vo dar yaad aaya
mujhe aaj daadī kā ghar yaad aaya
ghaḌī dekh kar jo bulātī thī mujh ko
mujhe aaj phir vo shajar yaad aaya
vo mūñchhoñ kī raunaq vo shīsham kī lāThī
mujhe aaj vālid kā Dar yaad aaya
bahut koshisheñ kī bhulāne ki us ko
du'ā.eñ bhī māñgīñ magar yaad aaya
sabhī aa.ine ghar ke toḌe haiñ maiñ ne
mujhe aaj vo is qadar yaad aaya
jo suna paDa hai wo dar yaad aaya
mujhe aaj dadi ka ghar yaad aaya
ghaDi dekh kar jo bulati thi mujh ko
mujhe aaj phir wo shajar yaad aaya
wo munchhon ki raunaq wo shisham ki laThi
mujhe aaj walid ka Dar yaad aaya
bahut koshishen ki bhulane ki us ko
du'aen bhi mangin magar yaad aaya
sabhi aaine ghar ke toDe hain main ne
mujhe aaj wo is qadar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.