jo tere zehn mein zalim ki taraf-dari hai
jo tere zehn meñ zālim kī taraf-dārī hai
chārāgar DhūñD mire dost ye bīmārī hai
us ne samjhā thā mohabbat hai mirā us pe karam
maiñ bhī kahtā to bhalā kaise ravādārī hai
husn vāloñ se koī rabt nahīñ rakhte haiñ
'ishq par zor hai bas 'ishq kī tayyārī hai
shauq-e-dil us pe 'ayāñ hone nahīñ denā hai
mas.ala ab ke mohabbat meñ nigah-dārī hai
ik ġhazal aur kahūñgā ki abhī bhī 'ālok'
us kī ḳhātir jo mire dil meñ vafādārī hai
jo tere zehn mein zalim ki taraf-dari hai
chaaragar DhunD mere dost ye bimari hai
us ne samjha tha mohabbat hai mera us pe karam
main bhi kahta to bhala kaise rawadari hai
husn walon se koi rabt nahin rakhte hain
'ishq par zor hai bas 'ishq ki tayyari hai
shauq-e-dil us pe 'ayan hone nahin dena hai
masala ab ke mohabbat mein nigah-dari hai
ek ghazal aur kahunga ki abhi bhi 'alok'
us ki KHatir jo mere dil mein wafadari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.