jo teri nigah-e-karam uThi to faza ke rang badal gae
jo tirī nigāh-e-karam uThī to fazā ke rang badal ga.e
ki baġhair bāda-o-jām bhī ka.ī daur bazm meñ chal ga.e
tirī bazm-e-kaif-o-surūr kā thā asar bhī sab pe judā judā
jo bahak ga.e vo bahak ga.e jo sañbhal ga.e vo sañbhal ga.e
vo tirā taġhāful-e-be-amāñ ye mirā tavakkul-e-be-karāñ
ki mu'āmalāt-e-nigāh-o-dil ġham-e-sub.h-o-shām meñ Dhal ga.e
ġham-e-rozgār ġham-e-jahāñ ġham-e-zindagī ġham-e-dostāñ
tirī yaad phir tirī yaad thī ki har ik se bach ke nikal ga.e
ye jo tere bāda-parast haiñ ye 'ajīb tarh ke mast haiñ
kabhī be-piye hī bahak ga.e kabhī pī ke aur sañbhal ga.e
vahī anjuman ki jahāñ fareb-e-umīd-o-yās kā hai chalan
usī anjuman meñ 'sirāj' ham kabhī bujh ga.e kabhī jal ga.e
jo teri nigah-e-karam uThi to faza ke rang badal gae
ki baghair baada-o-jam bhi kai daur bazm mein chal gae
teri bazm-e-kaif-o-surur ka tha asar bhi sab pe juda juda
jo bahak gae wo bahak gae jo sanbhal gae wo sanbhal gae
wo tera taghaful-e-be-aman ye mera tawakkul-e-be-karan
ki mu'amalat-e-nigah-o-dil gham-e-subh-o-sham mein Dhal gae
gham-e-rozgar gham-e-jahan gham-e-zindagi gham-e-dostan
teri yaad phir teri yaad thi ki har ek se bach ke nikal gae
ye jo tere baada-parast hain ye 'ajib tarh ke mast hain
kabhi be-piye hi bahak gae kabhi pi ke aur sanbhal gae
wahi anjuman ki jahan fareb-e-umid-o-yas ka hai chalan
usi anjuman mein 'siraj' hum kabhi bujh gae kabhi jal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.