Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo zehn o dil mein ikaTTha tha aas ka pani

Zaheer Ahmad Zaheer

jo zehn o dil mein ikaTTha tha aas ka pani

Zaheer Ahmad Zaheer

MORE BYZaheer Ahmad Zaheer

    jo zehn o dil meñ ikaTThā thā aas paanī

    use bhī le gayā saath apne yaas paanī

    maiñ le ke aayā thā ham-rāh jin ko dariyā tak

    vo log ga.e merī bhī pyaas paanī

    kab apne shahr meñ sailāb aane vaalā thā

    hameñ Dubo ke gayā ās-pās paanī

    hazāroñ aib chhupāne ko lag ke duniyā meñ

    badan pe rakhte haiñ zarrīñ libās paanī

    ajiib vaqt hai zāhid ko bhī 'zahīr' ab to

    sharāb lagtā hai mere gilās paanī

    jo zehn o dil mein ikaTTha tha aas ka pani

    use bhi le gaya sath apne yas ka pani

    main le ke aaya tha ham-rah jin ko dariya tak

    wo log pi gae meri bhi pyas ka pani

    kab apne shahr mein sailab aane wala tha

    hamein Dubo ke gaya aas-pas ka pani

    hazaron aib chhupane ko lag ke duniya mein

    badan pe rakhte hain zarrin libas ka pani

    ajib waqt hai zahid ko bhi 'zahir' ab to

    sharab lagta hai mere gilas ka pani

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now