josh-e-parwaz mein raftar kahan dekhte hain
josh-e-parvāz meñ raftār kahāñ dekhte haiñ
ham falak sābit-o-sayyār kahāñ dekhte haiñ
jab kareñ 'azm-e-safar rahtī hai manzil pe nazar
ye qadam raah kī dīvār kahāñ dekhte haiñ
be-niyāzī kī shikāyat pe jo karte haiñ gila
vo shikāyat meñ chhupā pyaar kahāñ dekhte haiñ
dekh to leñ unheñ māne' hai magar ro'b-e-jamāl
ho ke hotā nahīñ dīdār kahāñ dekhte haiñ
ḳhvāb-e-ḳhargosh meñ haiñ jo haiñ basīrat se tahī
ho bhī jaa.eñ jo vo bedār kahāñ dekhte haiñ
aañkh rahtī hai jhukī vaqt-e-takallum un kī
ham bhī un ko dam-e-guftār kahāñ dekhte haiñ
diid ho jaa.e bhī un kī jo sar-e-rāh to ham
kab nazar bhar ke lagātār kahāñ dekhte haiñ
tālib-e-jins-e-vafā haiñ jo ḳharīdār yahāñ
laakh ho garmī-e-bāzār kahāñ dekhte haiñ
chal nikalte haiñ jo manzil kī talab meñ 'nasrīñ'
rāste kitne haiñ dushvār kahāñ dekhte haiñ
josh-e-parwaz mein raftar kahan dekhte hain
hum falak sabit-o-sayyar kahan dekhte hain
jab karen 'azm-e-safar rahti hai manzil pe nazar
ye qadam rah ki diwar kahan dekhte hain
be-niyazi ki shikayat pe jo karte hain gila
wo shikayat mein chhupa pyar kahan dekhte hain
dekh to len unhen mane' hai magar ro'b-e-jamal
ho ke hota nahin didar kahan dekhte hain
KHwab-e-KHargosh mein hain jo hain basirat se tahi
ho bhi jaen jo wo bedar kahan dekhte hain
aankh rahti hai jhuki waqt-e-takallum un ki
hum bhi un ko dam-e-guftar kahan dekhte hain
did ho jae bhi un ki jo sar-e-rah to hum
kab nazar bhar ke lagatar kahan dekhte hain
talib-e-jins-e-wafa hain jo KHaridar yahan
lakh ho garmi-e-bazar kahan dekhte hain
chal nikalte hain jo manzil ki talab mein 'nasrin'
raste kitne hain dushwar kahan dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.