Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

juda ho kar zamane se teri jaanib chala aaya

Muhammad Asgar Rumi

juda ho kar zamane se teri jaanib chala aaya

Muhammad Asgar Rumi

MORE BYMuhammad Asgar Rumi

    judā ho kar zamāne se tirī jānib chalā aayā

    nikal kar maiñ fasāne se tirī jānib chalā aayā

    lagā tark-e-ta'alluq se bhulā dūñgā tujhe lekin

    maiñ tujh ko bhuul jaane se tirī jānib chalā aayā

    akelā maiñ nahīñ har shaḳhs hai mubtalā terā

    jo tere muskurāne se tirī jānib chalā aayā

    haram se dair se aage milā jo āstāñ terā

    guzar kar āstāne se tirī jānib chalā aayā

    kisī ko mil gayā hai binā sabr-o-tahammul ke

    koī ḳhud ko miTāne se tirī jānib chalā aayā

    juda ho kar zamane se teri jaanib chala aaya

    nikal kar main fasane se teri jaanib chala aaya

    laga tark-e-ta'alluq se bhula dunga tujhe lekin

    main tujh ko bhul jaane se teri jaanib chala aaya

    akela main nahin har shaKHs hi hai mubtala tera

    jo tere muskurane se teri jaanib chala aaya

    haram se dair se aage mila jo aastan tera

    guzar kar aastane se teri jaanib chala aaya

    kisi ko mil gaya hai tu bina sabr-o-tahammul ke

    koi KHud ko miTane se teri jaanib chala aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now