judai se ye dil majbur ho jae to kya kije
judā.ī se ye dil majbūr ho jaa.e to kyā kiije
vo husn-ārā nazar se duur ho jaa.e to kyā kiije
hamārī bekasī ko ik bahāna kah diyā us ne
mohabbat kī nigah be-nūr ho jaa.e to kyā kiije
tumhāre naam kā tamġha sajāyā apne siine par
magar jab 'ishq hī nāsūr ho jaa.e to kyā kiije
hamārī dostī badnām hai un kī nigāhoñ meñ
kisī kī dushmanī manzūr ho jaa.e to kyā kiije
sitam sahne se ghabrātā nahīñ lekin tumhāre haañ
nigāheñ phernā dastūr ho jaa.e to kyā kiije
kamā.ī hai aziyyat ham ne ik be-lutf rishte se
hamārī bebasī mash.hūr ho jaa.e to kyā kiije
use 'ahmad' sukūn-e-dil kī ḳhātir yaad kartā huuñ
magar dil vasvasoñ se chuur ho jaa.e to kyā kiije
judai se ye dil majbur ho jae to kya kije
wo husn-ara nazar se dur ho jae to kya kije
hamari bekasi ko ek bahana kah diya us ne
mohabbat ki nigah be-nur ho jae to kya kije
tumhaare nam ka tamgha sajaya apne sine par
magar jab 'ishq hi nasur ho jae to kya kije
hamari dosti badnam hai un ki nigahon mein
kisi ki dushmani manzur ho jae to kya kije
sitam sahne se ghabraata nahin lekin tumhaare han
nigahen pherna dastur ho jae to kya kije
kamai hai aziyyat hum ne ek be-lutf rishte se
hamari bebasi mashhur ho jae to kya kije
use 'ahmad' sukun-e-dil ki KHatir yaad karta hun
magar dil waswason se chur ho jae to kya kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.