Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun-e-shauq-e-mohabbat ki aagahi dena

Alqama Shibli

junun-e-shauq-e-mohabbat ki aagahi dena

Alqama Shibli

MORE BYAlqama Shibli

    junūn-e-shauq-e-mohabbat āgahī denā

    ḳhudī bhī jis pe ho qurbāñ vo be-ḳhudī denā

    na shor chāhiye dariyā tund maujoñ

    mire lahū ko samundar ḳhāmushī denā

    de na de mire lab ko shaguftagī gul

    jo de sake to shagūfe bekalī denā

    shanāḳht jis se zamāne meñ aadmī hai

    ye iltijā hai ki mujh ko vo ḳhudī denā

    jhukā sake na mirā sar koī bhī qadmoñ par

    jo ho sake to mujhe vo sar-kashī denā

    naqāb ulaT de jo baḌh kar ruḳh-e-tamannā se

    ye aarzū hai ki mujh ko vo tishnagī denā

    na.ī jihāt se fan ko jo āshnā kar de

    mire qalam ko ḳhudāyā vo kaj-ravī denā

    junun-e-shauq-e-mohabbat ki aagahi dena

    KHudi bhi jis pe ho qurban wo be-KHudi dena

    na shor chahiye dariya ki tund maujon ka

    mere lahu ko samundar ki KHamushi dena

    tu de na de mere lab ko shaguftagi gul ki

    jo de sake to shagufe ki bekali dena

    shanaKHt jis se zamane mein aadmi ki hai

    ye iltija hai ki tu mujh ko wo KHudi dena

    jhuka sake na mera sar koi bhi qadmon par

    jo ho sake to mujhe tu wo sar-kashi dena

    naqab ulaT de jo baDh kar ruKH-e-tamanna se

    ye aarzu hai ki mujh ko wo tishnagi dena

    nai jihat se fan ko jo aashna kar de

    mere qalam ko KHudaya wo kaj-rawi dena

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 453)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now