Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun pe aql ka saya hai dekhiye kya ho

Zia Fatehabadi

junun pe aql ka saya hai dekhiye kya ho

Zia Fatehabadi

MORE BYZia Fatehabadi

    Interesting Fact

    Madras 1958

    junūñ pe aql saayā hai dekhiye kyā ho

    havas ne ishq ko gherā hai dekhiye kyā ho

    ga.ī bahār magar aaj bhī bahār yaad

    dil-e-hazīñ sahārā hai dekhiye kyā ho

    ḳhamosh sham-e-mohabbat hai phir bhī husn zau

    guloñ se tā-ba-surayyā hai dekhiye kyā ho

    shab-e-firāq baḌhtī huī siyāhī meñ

    ḳhudā ko maiñ ne pukārā hai dekhiye kyā ho

    vahī jafāoñ aalam vahī hai mashq-e-sitam

    vahī vafā taqāzā hai dekhiye kyā ho

    ġham-e-butāñ meñ kaTī umr aur ab dil ko

    shikāyat-e-ġham-e-duniyā hai dekhiye kyā ho

    hazār baar dekhā hai sochne ma.aal

    hazār baar sochā hai dekhiye kyā ho

    mirā shabāb tirā husn aur saya-e-abr

    sharāb-o-sher muhayyā hai dekhiye kyā ho

    'ziyā' jo ke na bahkā vo rind-e-mastī-kosh

    piye baġhair bahaktā hai dekhiye kyā ho

    junun pe aql ka saya hai dekhiye kya ho

    hawas ne ishq ko ghera hai dekhiye kya ho

    gai bahaar magar aaj bhi bahaar ki yaad

    dil-e-hazin ka sahaara hai dekhiye kya ho

    KHamosh sham-e-mohabbat hai phir bhi husn ki zau

    gulon se ta-ba-surayya hai dekhiye kya ho

    shab-e-firaq ki baDhti hui siyahi mein

    KHuda ko main ne pukara hai dekhiye kya ho

    wahi jafaon ka aalam wahi hai mashq-e-sitam

    wahi wafa ka taqaza hai dekhiye kya ho

    gham-e-butan mein kaTi umr aur ab dil ko

    shikayat-e-gham-e-duniya hai dekhiye kya ho

    hazar bar hi dekha hai sochne ka maal

    hazar bar hi socha hai dekhiye kya ho

    mera shabab tera husn aur saya-e-abr

    sharab-o-sher muhayya hai dekhiye kya ho

    'ziya' jo pi ke na bahka wo rind-e-masti-kosh

    piye baghair bahakta hai dekhiye kya ho

    Source:

    Gard-e-raah (Pg. B-164 E-166)

    • Author: Zia Fatehabadi
      • Edition: 1963
      • Publisher: Maktaba Shola-o-Shabnam, Delhi
      • Year of Publication: 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now