junun sahra mein jab bhi kasht hairani karega
junūñ sahrā meñ jab bhī kāsht hairānī karegā
sarāb ā.īna ban kar 'aks-gardānī karegā
mirī āñkhoñ meñ itnī raunaqeñ bhar diiñ haiñ tū ne
mirā jashn-e-nazar ābād vīrānī karegā
re'āyā jā chukī hai chhoḌ kar is saltanat ko
yahāñ ab kis tarah sultān sultānī karegā
kahāñ jā.egā pahle apnī had ko toḌ kar bhī
samundar apne hī sāhil pe tuġhyānī karegā
lagānā chāhte ho bandisheñ jo bhī lagā do
hamārā 'ishq vārafta hai man-mānī karegā
musalsal guftugū kartā rahā vā'iz badan kī
hameñ ummīd ye thī baat rūhānī karegā
hamārī 'ājizī kī hai zarūrat mo'jize ko
hamārā 'ijz 'āsim' kaam yazdānī karegā
junun sahra mein jab bhi kasht hairani karega
sarab aaina ban kar 'aks-gardani karega
meri aankhon mein itni raunaqen bhar din hain tu ne
mera jashn-e-nazar aabaad virani karega
re'aya ja chuki hai chhoD kar is saltanat ko
yahan ab kis tarah sultan sultani karega
kahan jaega pahle apni had ko toD kar bhi
samundar apne hi sahil pe tughyani karega
lagana chahte ho bandishen jo bhi laga do
hamara 'ishq warafta hai man-mani karega
musalsal guftugu karta raha wa'iz badan ki
hamein ummid ye thi baat ruhani karega
hamari 'ajizi ki hai zarurat mo'jize ko
hamara 'ijz 'asim' kaam yazdani karega
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 141)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.