ju-e-talab ke lams mein mauj-e-fana mili
jū-e-talab ke lams meñ mauj-e-fanā milī
ik jhiil ḳhaufnāk samundar se jā milī
parchhā.īñ sā phirā huuñ charāġh-e-havas jalā.e
shāyad ye tere jism se mujh ko du'ā milī
shāḳhoñ se jhāñktī rahī patjhaḌ kī chāñdnī
nange shajar ke jism ko dohrī sazā milī
zahr-e-ḳhamosh le ke jo ham tum chale the raat
vo rāh-e-harf-e-shauq bhī jangal se aa milī
tujh se mile to ḳhuuñ kā jahannum bhaḌak uThā
palTe to sar pe girtī fasīl-e-havā milī
sāhil huuñ sūrajoñ kī jalan pī rahā huuñ maiñ
vo kaun haiñ jinheñ ki bhañvar kī sadā milī
ab is siyah jazīre se vāpas palaT chalo
kyā hogā aage bhī jo zamīñ be-ḳhudā milī
ye bhī 'musavvir' us ke mashām-e-vafā kā rang
mujh ko jo zaḳhm-zaḳhm badan kī qabā milī
ju-e-talab ke lams mein mauj-e-fana mili
ek jhil KHaufnak samundar se ja mili
parchhain sa phira hun charagh-e-hawas jalae
shayad ye tere jism se mujh ko du'a mili
shaKHon se jhankti rahi patjhaD ki chandni
nange shajar ke jism ko dohri saza mili
zahr-e-KHamosh le ke jo hum tum chale the raat
wo rah-e-harf-e-shauq bhi jangal se aa mili
tujh se mile to KHun ka jahannum bhaDak uTha
palTe to sar pe girti fasil-e-hawa mili
sahil hun surajon ki jalan pi raha hun main
wo kaun hain jinhen ki bhanwar ki sada mili
ab is siyah jazire se wapas palaT chalo
kya hoga aage bhi jo zamin be-KHuda mili
ye bhi 'musawwir' us ke masham-e-wafa ka rang
mujh ko jo zaKHm-zaKHm badan ki qaba mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.