Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaghazi kashtiyan banata tha

Swapnil Yadav Nil

kaghazi kashtiyan banata tha

Swapnil Yadav Nil

MORE BYSwapnil Yadav Nil

    kāġhazī kashtiyāñ banātā thā

    dil kabhī parchiyāñ banātā thā

    maiñ vo laḌkā thā jo ki copy par

    phuul aur titliyāñ banātā thā

    dekh lene itnī chāhat thī

    ḳhvāb meñ khiḌkiyāñ banātā thā

    maiñ banātā thā duurī duniyā se

    aur vo darmiyāñ banātā thā

    kaaT detā thā raat ThiThuran meñ

    dhuup meñ sardiyāñ banātā thā

    ek patthar se 'ishq kartā thā

    ret par machhliyāñ banātā thā

    niiñd chīḳhoñ ke taar buntī thī

    hosh ḳhāmoshiyāñ banātā thā

    kaghazi kashtiyan banata tha

    dil kabhi parchiyan banata tha

    main wo laDka tha jo ki copy par

    phul aur titliyan banata tha

    dekh lene ki itni chahat thi

    KHwab mein khiDkiyan banata tha

    main banata tha duri duniya se

    aur wo darmiyan banata tha

    kaT deta tha raat ThiThuran mein

    dhup mein sardiyan banata tha

    ek patthar se 'ishq karta tha

    ret par machhliyan banata tha

    nind chiKHon ke tar bunti thi

    hosh KHamoshiyan banata tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now